Aa ker tum khuwaaboon ko mere jagah na do.
Tarapte dil ke dard ki yunh dawa na do.

Duniya ke ghum soonp ker mujhe.
Ab khush rehney ki dua na do.

Dikhla ker mekhaney ka rastaa phir.
Ab-e-zam zam ki sada na do.

Kaantey bhar ker merey daaman mein.
Mujhe pholoon ki si adaa na do.

Mila ker zeher merey jaam mein.
Mujhe be-wajah maut ki wajah na do.

Gunaah jo sarzad hua hain mujh se.
Pal pal be gunaahi ki saza na do.

Badnaam ker ke uss ki galiyoon mein ab.
Uss ke aashyaaney ka tumhee pata na do.

Mohabbat kertey hein, dikhana nahi jaantey.
Ilzaam magroori ka de ker ye sila na do.

Jala rakha hai ummeedoon ka diya sadyoon se.
Pal bhar ki khalish se isey bujha na do.

Mein ek na cheez sahee kisi ke dil ka hisssa hoon.
Mujhe yunh sufha-e-hasti se mita na do.

Zaib nahi deta mujhe mohabbat ka husool.
Nafrat hee sahee,tark-e-talluq ki magar hawa na do.

Cheen ker mujh se zindagi meri.
Mujhe aur jeeney ki baddua na do...