Search

Some Links

Adsense

Thursday, July 23, 2009


valentine day

har khusi ke baad ek duhk hoga,
har chand ke baad surah hoga,
dil dekar dekh payare,
tere liye bhi khuda, kabr ka ek gaddha hoga.

valentine ka matlab,
payara saathi, jo jindgi bhar saath nibhaye,
har khushi ka ehsaas karaye,
dil todne se baaz na aaye,
khud to roye or hhume bhi rulaye,
shaadi kare woh or jite ji hum mar jaaye.

Friendship Day

YUNHI AAP MUSKURATE RAHE,
HAR GUM KO BHULATE RAHE.
AAYE KABHI AAPKI ANKHO ME AANSU,
HUM UNKO APNI PALKON PAR SAJATE RAHE.



DIL KI BAAT KANO TAK PAHUNCH JAYE,
TUMHE PYAAR KARNA SIKHAYE,
HANSO TUM DIL KHOL KAR,
OR APKE AANSU HUMARI AANKO ME AAYE.



HAPPY FRIENDSHIP DAY TO ALL
(ALL MEMBERS OF SHAIRY.NET)

Yeah Eid

yeah Eid tery wastay khusioon ka nagar hoo ,
kia khoob hoo, her rooz teri Eid! agar hoo ,
her raat husrat kay naay geet sunaaay ,
lamhaat kay peroon pay bhee shubnam ka sumar hooo .

Ada

masoom mohabbat ka bas itna fasana hai.
kagaz ki haveli hai baarish ka zamaana hai.
kya sharte mohabbat hai kya sharte zamaana hai.
aawaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gaana hai.
uss paar uterne ki ummeed bahot kam hai.
kashti bhi purani hai tufaan ko bhi aana hai.
samjhe ya na samjhe wo andaaz mohabbat ke.
ek shaks ko aakhon se dil ka sara dard sunana hai.
bholi si ada koie phir ishq ki zid per hai.
phir aag ka dariya hai aur doob ke jana hai.

Teri tasweer

Teri tasweer ko dekhta raha, to tere kaayal ho jaenge.....
tere lehnge ki kasam yaara,,,,,,,,,,,,
bahut zaldi paagal ho jaenge,,,,,,,,,,
tere chehre pe teri zulfo ka bikharna zaalim.....................
kar deta hai dil ko ghayal mere.........
gaur farmayiega.....
apne baalon ko hawa mein khula mat chodna yaara......
warna log................teri dandruff se panaah mange ge.
.....

rakhi-----savdhan

savdhan, agar aap kisi ladki ke haath me,
koi dhaga ya koi vastu dekhe to wahan se,
bhag jaye, ye vasty rakhi ho sakti hai,
apki lapervahi apko bhai bana sakti hai.

Kabootar

Arz Kiya Hai..

Kabootar Kay 2 Par

Wah Wah Wah

Kabootar Kay 2 Par

Bhaee Wah

Kabootar Kay 2 Par

Zara Si Tawajja Plzz

Ghor Farmaen..

Kabootar Kay 2 Par

:

:

1 Edhar 1 Udhar.. ;-)

Na do...

Aa ker tum khuwaaboon ko mere jagah na do.
Tarapte dil ke dard ki yunh dawa na do.

Duniya ke ghum soonp ker mujhe.
Ab khush rehney ki dua na do.

Dikhla ker mekhaney ka rastaa phir.
Ab-e-zam zam ki sada na do.

Kaantey bhar ker merey daaman mein.
Mujhe pholoon ki si adaa na do.

Mila ker zeher merey jaam mein.
Mujhe be-wajah maut ki wajah na do.

Gunaah jo sarzad hua hain mujh se.
Pal pal be gunaahi ki saza na do.

Badnaam ker ke uss ki galiyoon mein ab.
Uss ke aashyaaney ka tumhee pata na do.

Mohabbat kertey hein, dikhana nahi jaantey.
Ilzaam magroori ka de ker ye sila na do.

Jala rakha hai ummeedoon ka diya sadyoon se.
Pal bhar ki khalish se isey bujha na do.

Mein ek na cheez sahee kisi ke dil ka hisssa hoon.
Mujhe yunh sufha-e-hasti se mita na do.

Zaib nahi deta mujhe mohabbat ka husool.
Nafrat hee sahee,tark-e-talluq ki magar hawa na do.

Cheen ker mujh se zindagi meri.
Mujhe aur jeeney ki baddua na do...

Dekhaa...

Humne mehboob ki aankhon par
Haathon ko apne rakh kar dekha…
Nafrat ke aangaaro ko jab unkii
Nazaron mey dekhti dekhaa….
Aur Unhii haathon ko dil par rakh kar,
Apnii Hasraton ko khud apnii Aankhon se Jaltaa dekhaa…
Chand ki tarah humne Pyar ko bhi marrtaa dekha…

Ek ajnabii si nazar deewar ko bhedtii hui,
Ek ukhdii hui saans jigar ko chedtii huii…
Khud ki talaash mey bhatak rahii hai ruhh,
Do pal ka bhii nahin jaise mere naseeb mey sukoon…
Ghar ke saajo-samaan ko khud par Humne haste dekha…
Apne Wajood ko bhi sajawat ka saamaan Bante dekha…

Harr rishte par ek maut khud ki paayii hai,
Bazaar mey jaise bolii khud apni lagayii hai…
Koii zeher jaise apne haathon pee liya humne,
Zehar pee ke bhee magar kaise jee liya humne…
Khulii aankhon sey kaisa khaufnaak yeh sapnaa dekha…
Kaii Zehreele naagon ko kadmon sey lipatt.tey dekha…

Ek hi manzar yeh har raat ka hota hai,
Chand bhi aakar meri chhatt pe rota hai…
Palkon mey namii hoti hai bikhrii bikhrii…
Dil phir bhi nayii umeed koi pirotaa hai…
Woh toh takkiye ko aangosh mey le lete hai,
Jaane kaise woh chain ki neend so lete hai…
Raat ki raani ko kabhii khidkii pe Mehekta dekha…
Humne raaton ko aankhon aankhon mey guzartaa dekhaa…

Default Mitakar chale gaye...

Zehar mohobbat ka mujhe dava me pilakar chale gaye,
Meri zindagi ki imarat ko hava me hilakar chale gaye !!
Hasate rahe sada vo mujko rulakar chale gaye,
Khuda unko khush rakhana jo mujko mitakar chale gaye !!

Kabil na kar sake hum...

Apni zindagi mein unko shaamil na kar sake hum,
Chaah kar bhi unhe haasil na kar sake hum.
Unhe BEWAFA se mohabat thi,
Afsos khud ko unke kabil na kar sake hum....